Sponsored Links
Bheegi hui si kal ki woh raat, main bhulaaun kaise...
Hoon nashe mein abhi tak, main hosh me ab aaun kaise...
Dekh us bheege badan ko aag lagi is dil me kuch aisi...
Jal rahaa hoon abhi tak, main woh aag bujhaaun kaise...
Tadap rahaa hoon ab tak, kuch jal raha hai seene mein...
Seene ke jalte huye angaar ko thandak pahuchaaun kaise....
Dheere se jab usne chehre se zulfon ko hataayaa apne...
Qatl kaise huwaa meraa us lamhaa , main bataaun kaise...
Bheege hue se honth aur samundar si woh aankhen uski...
Doobaa unme kuch is tarhaa, main ab nikal paaun kaise...
Uuuff, kyaa thi woh, jaane kahaan se aayi thi kal woh...
Naam tak nahi poochaa, ab use main dhund paaun kaise...
Naa neend hai aankhon mein, naa hi bhook hai mujhe ab...
Khoyaa hoon uske khayaalon mein, sambhal paaun kaise...
Kaash woh fir dikh jaaye aaj jahaan kal dikhi thi woh...
Baithaa hun wahin... bin mile usse main ghar jaaun kaise....
Sponsored Links