Pages

Ek Ladki Jo Tanha Rahti Thi...

Sponsored Links
Ek Ladki Jo Tanha Rahti Thi...
ek ladki jo tanha rahti thi...
dil ki bat kisi se na kahti thi...

dil me uske ajeeb c ek kashmkash thi...
wo ek uljhan ko suljhane me lagi rahti thi...
koi tha jis se usne bepnah pyar kiya...
uski khusi ke liye apni khushio ko war diya...

uske liye mohabbat sirf us ladke ka naam tha...
mar jana mohabbat me uske liye aam tha...

magar kismat ko ye manzoor na hua...
hogya wo dur ladki se magar ladki ka dil us se dur na hua...

khoyi c rahne lagi chup chap har dard sahne lagi...
uski ankho ki jo chamak thi ansuo me bahne lagi...

fir use koi aisa mila jo usse bepnah pyar karta tha...
kahi wo chhod na jaye use wo hamesha is baat se darta tha...

ladki bhi use khud se jyada chahne lagi...
use smjh hi na aa raha tha ke ye galat hai ya sahi...

fir se zindagi use mohabbat ke bazar me le aayi thi...
khushio ke bich uski uljhno ki badri c chhayi thi...

smjh na pa rahi thi ke kon sacha pyar hai...
jo chhod gya use ya jo har zakham uthane ko uske liye taiyar hai...

pahli mohabbat ko wo yaad rakhe ke bhula de use...
khud naraz rahe zindagi se bhi aur apna jwab de kar rula de use...

kya aap de sakte jwab uske swalat ko...
kya aap smjh sakte hai us ladki ke jazbaat ko......
Sponsored Links