Sponsored Links
Mere gharwale mujhe samjha rahe the...
bas ek hi bat mere dimag mein baitha rahe the...
aane wali ek ladki hai...
jiske liye band hamare darwaje aur khidki hai...
uske aane se hamara vansh nahi badhega...
samaj humein ochhi najar se dekhega...
wo jane kya kya din humein dikhlayegi...
wo ladki hum par bhar ban jayegi....
meri jiwan sangini na jane kin khayalo mein khoi thi...
shayad wo man hi man bahut roi thi...
mere dilo dimag par ek bojh sa ho raha tha...
bistar par pada main yeh sab soch rha tha...
aaj biwi ki muskan kahin kho gai thi...
wo thak har ke aaj jaldi so gai thi...
main bhi na jane kin khayalo mein kho gaya...
pata hi nahi chala kab so gaya...
tabhi achanak aasman se utar ek nanhi pari aai...
mujhe dekh wo muskrai....
bade pyar se apne nanhe hatho ko mere galo par phera aur kaha--
"papa main aapka hi ansh hoon, aur aapka hi vansh hoon...
main is dunia mein aana chahti hoon, aap sabko dekh muskrana chahti hoon...
mummy se lori sunna chahti hoon, aapki goud mein khelna chahti hoon...
maa ke hath ka niwala chahti hoon, aapki aungli tham chalna chahti hoon....
naye dost sathi main bhi banana chahti hoon...
aapke ghar aangan ko mehkana chahti hoon...
main na aap par kabhi bojh banugi...
apne pairo par khud khadi houngi...
main bhi bhiaya ki tarah aapka sahara banugi...
main na ladko se pichhe rahungi...
papa mujhe is dunia mein aane do... apna pyar dene do aapka pyar pane do....
tabhi meri aankh khul gai...
aur wo pari mujhse bahut dur chali gai...
mujhe tab ehsas hua kaisa mujhse dus sahas hua...
kaise maine yeh napak baat sochi, kaise ban gaya mai chote samaj ka rogi......
Sponsored Links