Sponsored Links
Mujhe Na Mahsoos Hui Tamanna Kabhi Rab Ko Dekhne Ki...
Mujhe Maloom Hai Rab Meri Maa Jaisa Hi Dikhta Hoga...
Maa Jab Bhi Mangti Hogi Apni Duao Me Meri Khushi...
Rab Meri Takadir Me Wo Har Khushi Likhta Hoga...
Bina Lalach Ke Maa Ne Mujhe Umar Bhar Pala Hai...
Iski Kurbanio Ko Dekh Kar Bnane Wala Bhi Kuchh Na Kuchh Sikhta Hoga...
Mai Janta Hu Rab Meri Maa Ki Tarah Hi Dikhta Hoga...
Khud Ko Bhuka Rakh Kar Mera Pet Bharne Ki Iski Adat Purani Hai...
Har Roz Likh Deti Ye Itihas Me Qurbani Ki Koi Nayi Kahani Hai...
Khud Ki Khushio Ko Kurban Kar Ke Mujhe Khush Rakhna Hi Iski Khushi Hai...
Mai Khushal Rahu Ye Jis Hal Me Hai Bas Usi Me Sahi Hai...
Chehre Ki Muskurahat Ho Jaise Dua Gareeb Ki...
Iski Muskan Badal Deti Hai Khushi Me Mere Har Gum Ke Lakeer Ki...
Umar Lambi Ho Meri Maa Ki Haesha Mere Sar Pe Iska Hath Rahe...
Khushi Ho Ya Gum Har Janam Me Meri Pyari Maa Tera Sath Rahe...
Mubarak Ho Janamdin Tumhe Rab Tujhe Khushia Hazar De...
Itna Karam Rahe Mujh Pe Ke Tujh Par Se Tera Ye Beta Dono Jahan War De...
Sponsored Links