Pages

Teri Tasveer, Tere Khat, Teri Har Ik Nishani…

Sponsored Links
Teri Tasveer, Tere Khat, Teri Har Ik Nishani…

Hazaron Dard Seeney Mein Chupaye Phir Raha Hon Mein..
Teri Furqat Ka Gham Dil Se Lagaye Phir Raha Hon Mein...

Lutaa Dala Hai Mene Apna Sab Kuch Teri Chahat Pe…
Fakat Apni Anaa Baaki Bachaye Phir Raha Hoon Mein...
Teri Tasveer, Tere Khat, Teri Har Ik Nishani…
Abhi Tak Apne Seeney Se Lagaye Phir Raha Hoon Mein...

Nazar Teri Kisi Din To Parre Gi Mujh Pe Ae Zalim…
Tamasha Is Liye Khud Ko Banaye Phir Raha Hoon Mein...

Bhuja Sakta Nahin Koi Hawaye-Tund Ka Jhonka…
Diye Aese Wafaa Ke Jalaye Phir Raha Hoon Mein…

Urooj Ankhain Meri Purnam Hain Jis Ki Bewafayi
Per..

Usi Ke Khawb Ankhon Mein Basaye Phir Raha Hoon Mein….
Sponsored Links